Tuesday, June 28, 2011

gazal

us k labon pe rat kahani ghazab ki thi
jazbat beh rahy thy rawani ghazab ki thi

raja b la-jawab tha wadi-e-ishq ka

lakin

deyaar-e-husn ki rani ghazab ki thi

kya kya na sham ai meri umr men mager
guzri jo tere sath suhani ghazab ki thi

daikhi hain mene shehar men charti jawanian
lekin jo tujh pe ai jawani ghazab ki thi

men aik umer tak likhta raha dastan-e-gham
jo tum ne sunai kal shahb wo kahani ghazab ki thi

No comments:

Post a Comment