Monday, June 29, 2009

Mein Tujhe* Chahta Nahi Lekin!

Phir bhi jab paas Tum* nahi hotien
khud ko kitna udaas pata hoon
gum se apne hawaas paata hoon
janay ka dhun samai rehti hai
ek khamooshi c chai rehti hai
dil se bhi guftgu nahi hoti
Mein Tujhe Chahta Nahi Lekin!

Phir bhi shab k taweel khilwat mein
tere ehsas sochta hoon mein
teri her baat sochta hoon mein
kon se phool tumko bhate hein
rung kya kya pasand atay hain
kho sa jata hoon teri jannat mein
Mein Tujhe* Chahta Nahi lekin!

Phir bhi ehsas se nijaat nahi
souhta hoon tou ranj hota hai
dil ko Jaese koi dabota hai
jisko itna sarhata hoon mein
jiss ko iss darja chahta hoon mein
uss mein teri si koi baat nahi
Mein Tujhe Chahta Nahi Lekin

No comments:

Post a Comment